Monday, July 10, 2017

Shukar guzaar hu uska main,
Jisne kar diya nazdeek mere murshad ke,
Yaad na karta tha jise kabhi, lakar khada Kar diya mujhe charno mein uske..
Chand lamho ke liye hi sahi,
Meharbaan hua ye khuda mujhpar.
Chand saanso ke liye hi sahi,
Hua meharbaan khud mujhpar.
Diya usne jo chaha Maine,
Manzoor hai ab jo de rha Hai..
Agar sath na likha tha mere, to kyu milaya mujhe usse??
Agar Zindagi mein na likhi thi wo mere, to kyu laaya Zindagi mein use??
Chaha jise bhi dil se, kyun chheen liya Zindagi se meri??
Pyar kiya to bahot, par mila nhi kabhi,
Agar likha nhi pyar Zindagi mein Meri, to bheja kyu use??

Akela main...

Wo akela hi main thik Tha...
Na kisi se bicchadne ka darr,
Na kisi se juda hone ka dard.
Na kisi ko apna banana,
Fir na kisi ke dur jaane se dil ko samjhana..
Najane kyu banata hai insaan ye rishte,
 jab pta hai akele hi wapas jaana...