
un yaadon mein najaane kaha kho gya main aaj?
un baaton mein najaane kaha kho gya main aaj?
wo meethe khushi ke pal, hazaaro yaado ke wo pal,
jinme wapas lautna chahta hu main,
najaan kaha kho gya main aaj....
wo lagte hain jaise kal ki tarah,
wo lagte hain jaise apne har pal ki tarah,
wo yaadon ka manzar hai meri har khushi ka zariya...
najaane kab laut ke aayenge wo pal,
jo mujhe milenge nahi saari qayanat mein kahin....
No comments:
Post a Comment